Pages

Sunday 6 May 2012

Karray Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha
Tou Ibtedaa Mein Mere Saath Hee Na Chalna Tha
Kuch Is Lye Bhee Tou Sooraj Zameen Pe Utraa Hai
Pahaarion Per Jami Barf Ko Pighalna Tha
Utar Ke Dil Mein Lahuu Zeher Kar Gaya Aakhir
Wo Saanp Jis Ko Meri Aastee.n Mein Palnaa Tha
Ye Kia Ke Tohmatain Aatish-Fishaan Ke Sar Aayein
Zameen Ko Yun Bhee Khazaana Kubhi Ugalna Tha
Mein Lagzishon Se Atay Raaston Pe Chal Nikla
Tujhe Ganwa Ke Mujhe Phir Kahan Sambhalna Tha ?
Ajab Naseeb Tha “Mohsin” Ke Baad-e-Marg Mujhe
Charaagh Ban Ke Khud Apni Lehad Pe Jalna Tha


Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Bujhaa Bhee Dena
Yaad Karna Bhee Ose Roz Bhula Bhee Dena
Kia Kahoon Ye Meri Chaahat Hai Ke Nafrat Oski ?
Naam Likhna Bhee Mera, Likh Ke Mitaa Bhee Dena
Phir Na Milnay Ko Bicharta Hun Tujh Se Laikin
Murr Ke Dekhuun Tou Palatnay Ki Duaa Bhee Dena
Khat Bhee Likhna Mayoos Bhee Rehna Os Se
Jurm Karna Bhee Magar Khud Ko Sazaa Bhee Dena
Mujh Ko Rasmon Ka Takalluf Bhee Ganwaara Laikin
Jee Mein Aaye Tou Ye Deewaar Gira Bhee Dena
Os Se Mansoob Bhee Karlaina Puraanay Qissay
Os Ke Baalon Mein Naya Phool Sajaa Bhee Dena
Soorat-e-Naqsh-e-Qadam, Dasht Mein Rehna “Mohsin”
Apnay Honay Se Na Honay Ka Pataa Bhee Dena


Koi Jannat Ka Talib Hai, Koi
Gham Se Preshan Hai
"Mohsin"
Gharz !
Sajda Karwati Hai,Ibaadat
Kon Karta Hai.



Mere Huroofon Mere Lafzon Main Hai Chehra Mera
Mera Fun Ab Mera Mazhab Mera Emaan Bhi Hai
Meer O Ghalib Na Sahi Phir Bhi Ghanimat Jano
Mere Yaaron K Sarhany Mera Diwaan Bhi Hai...
Mohsin Naqvi Poetry



Ab Mohabbat ki Wakaalat Nahi Ki Ja Sakti
Aaj Gum Sum Hai Jo Barbaad Jazeeron Jaisi,
Kitne Maghroor Pahaaron Ke Badan Chaak Huey,
Jis Ki Yaadon Se Khayaalon Ke Khazaanay Dekhay,
Chahatain Lub Pe Machalti Hui Larki Ki Tarah,
Hum Anaa Mast, Tahi Dast Bohat Hain MOHSIN,



Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha
Mera Yaqeen Bhi Tumhaare Gumaan Se Kam To Na Tha,
Mizaaj-e-Azmat-e-Adam Ki Baat Hai, Warna
Zameen ka Zulm Tere Asmaan Se Kam To Na Tha,



Guzar Raha Tha Jahaan Se Main Sang Dil Ban Kar
Woh Mor Sheesha Garon Ki Dukaan Se Kam To Na Tha,
Na Jaane Kiyoon Teri Aankhen Khamosh Thien, Warna
Dil-e-Ghareeb Ka Naghmaa Faghaan Se Kam To Na Tha,
Rah-e-Januu Kay Nasheb-o-Faraaz Mein “Mohsin”
Khird Ka Phool Bhi Sang-e-Giraan Se Kam To Na Tha.



Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha
Khud Apni Nigaahon Mein Gunaahgaar Bhi Mein Tha
Kiun Ab Mere Mansab Ki Salaami Ko Kharay Ho ?
Yaaro Kubhi Ruswa Sar-e-Baazaar Bhi Mein Tha
Mein Khud Hee Chhupa Tha Qaf-e-Qaatil Ki Shikan Mein
Maqtool Ki Tooti Howi Talwaar Bhi Mein Tha
Chheentay Hain Jahan Ab Mere Maasoom Lahoo Ke
Os Farq-e-Falak-Naaz Ki Dastaar Bhi Mein Tha



Meri Hee Sadaa Lout Ke Aayi Hai Mujhi Tak
Shayad Had-e-Aflaak Ke Os Paar Bhi Mein Tha
Manzil Pe Jo Pohancha Hun Tou Maaloom Howa Hai !
Khud Apnay Lye Raah Ki Deewaar Bhi Mein Tha
Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai TU Laikin
Kal Tak Teri Pehchaan Ki Mayaar Bhi Mein Tha
Dekha Tou Mein Afshaa Tha Har Ik Zehen Pe Mohsin
Socha Tou Pas-e-Parda Israar Bhi Mein Tha



jab bhi hansnay k zamanay aaye
phr mujhe toot k chaha os ne
phr bicharnay k bahany aaye
muskura k hamain milnay waly
zindagi bhr ko rulanay aaye
kitni mehroom thi neendain un ki ?
khawab bhi jin ko jaganay aaye
teri chahat ne thehrnay na dia
raah mein kitnay thikaanay aaye
tu nhi hai tu hawa ka jhonka
ghr ki zanjeer hilanay aaye
dil bujha hai na jalay hain khaimay
aap kion jashan mananay aaye?
esi umeed pe jaago yaro !
ab wo kis waqt najanay aaye ?
raas aaya hai jinhain sehra Mohsin
un ki qismat main khazanay aaye.
Har baar mujhay chor jata hey tanha Mohsin



Mosam e ghm hei mehrban ab k,
Hum py tanhaion ka saya hei
Baaz uoqaat raat uN guzri,
Tu bhi km km he yaad aya hy..
Rida e khwab
By
Mohsin naqvi.



Mohabbat Se Fatah Kar Lete Hein Logon Ke Dilon Ko
...Mohsin...
Hum Aise Sikandar Hein Jo Lashkar Nahi Rakhte.



.Her Simt Gham e Hijar k toofan hain "MOHSIN"..
..Us shehar say ab Kooch k imkaan hain "MOHSIN



jo ana chaho hazaar raste,
na ana chaho to uzar hazaron MOHSiN



Mizaaj barham,
Taveel Rasta,
Barasti barish,
Kharab Mosam.



Main Kyun Na Tarq-E-Taluq Ki Ibteda Karta
Wo Duur Des Ka Baasi Tha Kia Wafa Karta
Wo Mere Zabt Ka Andaza Karne Aaya Tha
Main Hans Ke Zakhm Na Khata To Aur Kia Karta
Hazaar Aaine Khanon Mein Bhi Na Paa Saka
Wo Aaina Jo Mujhe Khudse Aashna Karta
Dar-E-Qafas Pe Qayamat Ka Habs Tha Warna
Saba Se Ziker Tera Main Bhi Sun Liya Karta
Kia Mily Ga Tujhy Zanjeer-e-Rafaqat Torr Kr Mohsin



TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?
dopehar ke garm suraj ki taraf dekho
or itni der tak dekho ...?
ke binayi pighal jaye
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?
asman se toot'ti andhi ulajhti bijliyon se
dosti kar lo
or itni dosti karlo



Itni muddat baad mile ho!
Kin sochon main gum rehte ho?
Itne khayef kyon rehte ho?
Her aahat se darr jaate ho
Taiz hawa ne mujh se poocha
Rait pe kya likhte rehte ho?
Kaash koi humse bhi pooche
Raat gaye tuk kyon jaage ho?
Main darya se bhi darta hoon
Tum darya se bhi gehre ho!
Koun si baat hai tum main aisi
Itne ache kyon lagte ho?
Peeche mur ker kyon dekha tha
Patthar ban ker kya takte ho?
Jaao jeet ka jashan manaao!
Main jhoota hoon, tum suche ho
Apne sheher ke sub logon se
Meri khatir kyon uljhe ho?
kehne ko rehte ho dil main!
Phir bhi kitne door khare ho
Raat humain kuch yaad nahin tha
Raat bohot hi yaad aaye ho
Humse na poocho hijr ke qisse
Apni kaho ab tum kaise ho?
Mohsin tum badnaam bohot ho
Jaise ho, phir bhi ache ho
mohsin naqvi



ke ghar ka ghar he jal jaye
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?
ek anjaane safar main
ek ajnabi ke hamrah door tak jao
or itni door tak jao
ke woh rasta badal jaye
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...?
Mohsin Naqvi



Main Bhi Tanha,
Tu Bhi Tanha,
Or
Tamasahai Bhot...



Meri Zameen Tu Agar Mujhko Raas Aa Jaati
Main Rifaton Mein Tujhe Aasman Sa Karta
Gam-E-Jahan Ki Mohabbat Lubha Rahi Thi Mujhe
Main Kis Tarah Teri Chahat Pe Aasra Karta
Agar Zuban Na Katti To Shehar Mein Mohsin
Main Patthron Ko Bhi Ek Roz Hamnawa Karta



..Kashti abhi umeed ki dobi tu nahi hai..
..Phir kyun tari ankhoon men ye tofaan hain "MOHSIN"..
..Kar inka adab, Rakh inhen seeny se Laga kar..
..Ye Dard, ye Tanhaiyan mehmaan hai "MOHSIN".
..Mat Poch k Ham kitne Pareshan hain "MOHSIN"..
..Har chehra Nazar aata hai Tasweer ki Soorat..
..Hum shehar k logon se b anjan hain "MOHSIN"..
..Jis shehar e Muhabbat ne Hamen Loot lia hai..



Laakh Ujray Howay Hon Shahzaaday
Sar Se Sultaanian Nhi Jateen
Lashkar-e-Zulm Thak Gaya Mohsin
Apni Qurbaanian Nhi Jateen.



Is Say Behtar Hai K’ Har Baat Bhula Di Jaye..
Mai Ne Apno K’ Rawayon Say Ye Mehsoos Kiya,
Dil K’ Angan Mai B’ Dewaar Utha Di Jaye..
Mai Ne Yaroon K’ Bhicharne Say Ye Seekha ”MOHSIN”
Apne Dushman Ko B’ Jeene Ke Dua Di Jaye



Mein mazboot tau bohot hoon magar pathar tau nahin..
zakhm phir yaad puranay aaye
bar'ha un ko manaya tu hamain
rooth janay k bahany aaye



Ye Alag Baat Ke Aadat Hai Ameeron Jaisi……
Hasratain Aankh Mein Zindaan Ke Aseeron Jaisi
Uski Soorat Bhi Lagi Aaj Faqeeron Jaisi
Taiz Kirnon Ki Jo Baarish Hui Teeron Jaisi
Us Ki Aankhon Mein Chamak Thi Kabhi Heeron Jaisi



Shehr Bhar se to Adaawat Nahi Ki Ja Sakti
.
Mera Chehra Meri Aankhain hain Salaamat Ab Bhi
Kon Kehta Hai Wazaahat Nahi Ki Ja Sakti
.
Baat ye Hai k koi Toot k Chaahay to Sahi
Her kisi se to Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti
.
Aankh Kehti Hai Kahin Aur Chalay Jaayen Hum
Dil ye Kehta Hai k Hijrat Nahi Ki Ja Sakti
.
Loh-e-Dil par Yehi Tehreer Likhi hay Mohsin
Ishq Waalon ko Naseehat Nahi Ki Ja Sakti



Kaash Aa Jaye Vo Mujhy Jaan Se Guzarty Dekhy
Us Ki Khawahish Thi Kabhi Mujh Ko Bikharty Dekhy
Vo Saleeqy Se Hua Hum Se Gurezan Warna
Log To Saaf Mohabat Se Mukarty Dekhy
Waqat Hota Hai Her Ek Zakham Ka Marham Mohsin
Phir Bhi Kuch Zakham Thy Asy Jo Na Bharty Dekhy…